ye kis khalish ne phir is dil men aashiyaana kiyaa
— Faiz Ahmad Faiz
Ye kis khalish ne phir is dil men aashiyaana kiyaa
Phir aaj kis ne sukhan ham se ghaa.ebaana kiyaa
Gham-e-jahaan ho rukh-e-yaar ho ki dast-e-adoo
Sulook jis se kiyaa ham ne aashiqaana kiyaa
The khaak-e-raah bhee ham log qahr-e-toofaan bhee
Sahaa to kya na sahaa aur kiyaa to kya na kiyaa
Khushaa ki aaj har ik mudda.ee ke lab par hai
Wo raaz jis ne hamen raanda-e-zamaana kiyaa
Wo heela-gar jo wafa-joo bhee hai jafaa-khoo bhee
Kiyaa bhee 'faiz' to kis but se dostaana kiyaa