aakhir us ke husn ki mushkil ko hal main ne kiyaa

Farhat Ehsas

Aakhir us ke husn kee mushkil ko hal main ne kiyaa Ek nasree nazm thee jis ko ghazal main ne kiyaa Kya balaaghat aa ga.ee us ke badan ke matn men Chand lafzon kaa jo Kuch radd-o-badal main ne kiyaa Baa.is-e-tauheen hai dil ke liye takraar-e-jism Aaj phir kaise karoon wo sab jo kal main ne kiyaa Bazm ho baazaar ho saaree nigaahen mujh pe hain Kya un aankhon ke ishaaron par amal main ne kiyaa Jis jagah marnaa thaa mujh ko main vahaan jiitaa raha Ishq men har kaam be-mauqa-mahal main ne kiyaa