bahut sii aanhken lagiin hain aur ek khvaab tayyaar ho raha hai

Farhat Ehsas

Bahut see aankhen lageen hain aur ek khvaab tayyaar ho raha hai Haqeeqaton se muqaable kaa nisaab tayyaar ho raha hai Tamaam Dunya ke zakhm apne bayaan qalam-band kar rahe hain Miree savaaneh-hayaat kaa ek baab tayyaar ho raha hai Bahut se chaand aur bahut se phuul ek tajrabe men lage hain kab se Sunaa hai tum ne kaheen tumhaaraa javaab tayyaar ho raha hai Chaman ke phoolon men Khoon dene kee ek tahreek chal rahee hai Aur is lahoo se khizaan kee khaatir khizaab tayyaar ho raha hai Puraanee bastee kee khiDkiyon se main dekhtaa hoon to sochtaa hoon Nayaa jo wo shahr hai bahut hee kharaab tayyaar ho raha hai Khule hue hain fanaa ke daftar men sab anaasir ke goshvaare Ki aasmaanon men ab zameen kaa hisaab tayyaar ho raha hai Main jab kabhi us se poochhtaa hoon ki yaar marham kahaan hai meraa To vaqt kahtaa hai muskuraa kar janaab tayyaar ho raha hai Badan ko jaanaa hai pahlee baar aaj ruuh kee mahfil-e-tarab men To aisa lagtaa hai jaise koi navaab tayyaar ho raha hai Is imtihaan ke savaal aate nahin nisaabon se maktabon ke Ajiib aashiq hai ye jo paDh kar kitaab tayyaar ho raha hai Junoon ne barpaa kiyaa hai sahraa men shahr kee ta.aziyat kaa jalsa To 'farhat-ehsaas' bhee ba-chashm-e-pur-aab tayyaar ho raha hai