biimaar ho gaya hoon shifaa khaana chaahiye
— Farhat Ehsas
Beemaar ho gaya hoon shifaa-khaana chaahiye
Ye saaraa shahr mujh ko bayaabaana chaahiye
Saanson kee zarb se na kaTegaa hamaaraa habs
Ham ko to ek puuraa havaa-khaana chaahiye
Yuun hee dikhaa rahee hai mohabbat ke sabz baagh
Mere badan ko ruuh se harjaana chaahiye
Taakheer ho ga.ee to bikhar jaa.egaa badan
Aaghosh-e-yaar ab tujhe khul jaanaa chaahiye
Phir daavat-e-gunaah milee ik nigaah se
Phir meree paarsaa.ee ko sharmaanaa chaahiye
Wo jalva saamne ho to kaisee duaa-salaam
Bas dekhte hee kaam pe lag jaanaa chaahiye
Dekhen to kaun jaataa hai mahmil men khvaab ke
Ta.abeer ke ghazaal ko dauDaanaa chaahiye
Oodham machaa rahe hain bahut log shahr ke
'ehsaas-jee' ko dasht se bulvaanaa chaahiye