jab us ko dekhte rehne se thakne lagtaa hoon
— Farhat Ehsas
Jab us ko dekhte rehne se thakne lagtaa hoon
To apne khvaab kee palken jhapakne lagtaa hoon
Jise bhee pyaas bujhaanee ho mere paas rahe
Kabhee bhee apne labon se chhalakne lagtaa hoon
Havaa-e-hijr dikhaatee hai sabz baagh-e-visaal
To baagh-e-vahm men apne mahakne lagtaa hoon
ChhiDaknee paDtee hai khud par kisee badan kee aag
Main apnee aag men jab bhee dahakne lagtaa hoon
Main khud ko chakh naheen paataa ki toD letee hai
Mujhe havaa-e-khizaan jab bhee pakne lagtaa hoon
Badan kee kaan se hiire nikalne lagte hain
Main apnee raat men aksar chamakne lagtaa hoon
Wo ek manzar-e-naapaid hai ki jis ke liye
Main aankh hone kee khaatir phaDakne lagtaa hoon
Parinde bolne lagte hain mujh men raat ga.e
To shaakh-e-sher pe main bhee chahakne lagtaa hoon
Jo kaar-naama kabhee koee mujh se ho jaa.e
To apnee piiTh main khud hee thapakne lagtaa hoon
Sunaane lagtaa hai ash.aar-e-ishq jab 'ehsaas'
Main us ke saamne dil saa dhaDakne lagtaa hoon