jo ishq chaahtaa hai wo honaa nahin hai aaj

Farhat Ehsas

Jo ishq chaahtaa hai wo honaa naheen hai aaj Khud ko bahaal karnaa hai khonaa naheen hai aaj Aankhon ne dekhte hee use ghul machaa diyaa Tai to yahee huaa thaa ki ronaa naheen hai aaj Ye raat ahl-e-hijr ke khawabon kee raat hai Qissa tamaam karnaa hai sonaa naheen hai aaj Jo apne ghar men hai wo hai baazaar men naheen Honaa kisee kaa shahr men honaa naheen hai aaj Phir tifl-e-dil hai daulat-e-Dunya pe girya-baar Aur mere paas koee khilaunaa naheen hai aaj