kabhi khuda kabhi insaan rok letaa hai
— Farhat Ehsas
Kabhee khuda kabhee insaan rok letaa hai
Main jab bhee jaataa hoon darbaan rok letaa hai
Baghair chaak kiye ghar se main agar nikloon
To mujh ko meraa garebaan rok letaa hai
Main jab bhee jism se izn-e-vidaa.a maangtaa hoon
Wo kah ke mujh ko miree jaan rok letaa hai
Bas ek jast men Dunya ke paar utar jaa.oon
Magar mujhe meraa saamaan rok letaa hai
Bahaana chaahiye mujh ko bhee koee rukne kaa
So wo ba-heela-e-aasaan rok letaa hai
Main apne kufr se sharminda hoon ki us kee taraf
Mire qadam miraa eemaan rok letaa hai
Faraar ho ga.ee hotee kabhee kee ruuh miree
Bas ek jism kaa ehsaan rok letaa hai
Kabhee to aa.enge 'ehsaas-jee' kee bai.at men
Hamen yahee bas ik imkaan rok letaa hai