mirii mohabbat men saarii Dunya ko ik khilaunaa banaa diyaa hai
— Farhat Ehsas
Miree mohabbat men saaree Dunya ko ik khilaunaa banaa diyaa hai
Ye zindagee ban ga.ee hai maan aur mujh ko bachcha banaa diyaa hai
Jise kamee ho wo aa ke le jaa.e meree hastee se apna hissa
Mujhe ye lagtaa hai us ne mujh ko bahut ziyaada banaa diyaa hai
Use khabar thee ki ham visaal aur hijr ik saath chaahte hain
To us ne aadhaa ujaaD rakkhaa hai aur aadhaa banaa diyaa hai
Main jaantaa hoon magar mujhe us fareb men lutf aa raha hai
Saraab hai wo jise miree tishnagee ne Dariya banaa diyaa hai
Tiree mohabbat kee khair jis ne jalaa ke khaashaak-e-jism-o-jaan ko
Wo aag bhaDkaa.ee jis ne patthar ko aabgeena banaa diyaa hai
To aur kya chaahiye tumhen ik zameen de dee kitaab jaisee
Aur aasmaan par kalaam kartaa huaa sitaaraa banaa diyaa hai
Wo peer-e-mai-khaana-e-falak in dinon bahut mehrbaan hai mujh par
To khud suraahee banaa huaa hai mujhe piyaala banaa diyaa hai