paikar e aql tire hosh thikaane lag jaaen
— Farhat Ehsas
Paikar-e-aql tire hosh Thikaane lag jaa.en
Tere peechhe bhee jo ham jaise divaane lag jaa.en
Us kaa mansooba ye lagtaa hai galee men us kee
Ham yoonhee khaak uDaane men Thikaane lag jaa.en
Soch kis kaam kee rah jaa.egee teree ye bahaar
Apne andar hee agar ham tujhe paane lag jaa.en
Sab ke jaisee na banaa zulf ki ham saada-nigaah
Tere dhoke men kisee aur ke shaane lag jaa.en
Raat bhar rotaa hoon itnaa ki ajab kya is men
Dher phoolon ke agar mere sirhaane lag jaa.en
Dasht karnaa hai hamen shahr ke ik goshe ko
To chalo kaam pe ham saare divaane lag jaa.en
'farhat' ehsaas ab aisa bhee ik aahang ki log
Sun ke ash'aar tire naachne gaane lag jaa.en