sahraa ke sangiin safar men aab rasaanii kam na pade
— Farhat Ehsas
Sahraa ke sangeen safar men aab-rasaanee kam na paDe
Saaree aankhen bhar kar rakhnaa dekho paanee kam na paDe
Zehn musalsal qisse sochen honTh musalsal zikr karen
Sub.h talak zinda rahnaa hai kaheen kahaanee kam na paDe
Ishq ne saunpaa hai mujh ko ik sahraa kee ta.ameer kaa kaam
Aur hidaayat kee hai zarra bhar veeraanee kam na paDe
Meree shah-rag kaaTee us ne aur kahaa shokhee ke saath
Too sachchaa aashiq hai to phir dekh ravaanee kam na paDe
ThoDaa thoDaa martaa bhee rahtaa hoon main jiine ke saath
Taaki vaqt-e-zaroorat marne kee aasaanee kam na paDe
Sajda karne ko hota hoon ek bahut hee baDe but kaa
Aur phir sochtaa hoon ye chhoTee see peshaanee kam na paDe
Hamen chhupaane ko Dunya ne khol diye kapDon ke thaan
Chaak-garebaanee ye tiraa zor-e-uryaanee kam na paDe
Tum 'farhat-ehsaas' bas apne aap ko marne mat denaa
Taaki daftar-e-Dunya men dakhl-e-insaanee kam na paDe