wo meri jaan ke sadaf men guhar saa rahtaa hai

Farhat Ehsas

Wo meree jaan ke sadaf men guhar saa rahtaa hai Men us ko toD na Daaloon ye Dar saa rahtaa hai Wo chehra ek shifaa-khaana hai miree khaatir Wo ho to jaise koee chaaraagar saa rahtaa hai Main us nigaah ke hamraah jab se aayaa hoon Mujhe na jaane kahaan kaa safar saa rahtaa hai BaDaa vasee' hai us ke jamaal kaa manzar Wo aa.ine men to bas mukhtasar saa rahtaa hai Miree zameen ko mayassar hai aasmaan us kaa Kaheen bhee jaa.oon mire saath ghar saa rahtaa hai