aazaadii

Firaq Gorakhpuri

Miree sadaa hai gul-e-sham-e-shaam-e-aazaadee Sunaa raha hoon dilon ko payaam aazaadee Lahoo vatan ke shaheedon kaa rang laayaa hai Uchhal raha hai zamaane men naam-e-aazaadee Mujhe baqaa kee zaroorat nahin ki faanee hoon Miree fanaa se hai paidaa davaam-e-aazaadee Jo raaj karte hain jamhooriyat ke parde men Unhen bhee hai sar-o-sauda-e-khaam-e-aazaadee Banaa.enge na.ee dunya kisaan aur mazdoor Yahee sajaa.enge deevaan-e-aam-e-aazaadee Fazaa men jalte dilon se dhuaan saa uThtaa hai Are ye sub.h-e-ghulaamee ye shaam-e-aazaadee Ye mahr-o-maah ye taare ye baam haft-aflaak Bahut buland hai in se maqaam-e-aazaadee Fazaa-e-shaam-e-sahar men shafaq jhalaktee hai Ki jaam men hai mai-e-laala-faam-e-aazaadee Syaah-khaana-e-dunya kee zulmaten hain do-rang Nihaan hai sub.h-e-aseeree men shaam-e-aazaadee Sukoon kaa naam na le hai wo qaid-e-be-mee.aad Hai pai-ba-pai harakat men qayaam-e-aazaadee Ye kaarvaan hain pasmaandgaan-e-manzil ke Ki rahravon men yahee hain imaam-e-aazaadee Dilon men ahl-e-zameen ke hai niiv us kee magar Qusoor-e-khuld se oonchaa hai baam-e-aazaadee Vahaan bhee khaak-nasheenon ne jhanDe gaaD diye Milaa na ahl-e-duval ko maqaam-e-aazaadee Hamaare zor se zanjeer-e-teergee TuuTee Hamaaraa soz hai maah-e-tamaam-e-aazaadee Tarannum-e-saharee de raha hai jo chhup kar Hareef-e-sub.h-e-vatan hai ye shaam-e-aazaadee Hamaare siine men sho.ale bhaDak rahe hain 'firaaq' Hamaaree saans se raushan hai naam-e-aazaadee Meri sada hai gul-e-sham-e-sham-e-azadi Suna raha hun dilon ko payam aazadi Lahu watan ke shahidon ka rang laya hai Uchhal raha hai zamane mein nam-e-azadi Mujhe baqa ki zarurat nahin ki fani hun Meri fana se hai paida dawam-e-azadi Jo raj karte hain jamhuriyat ke parde mein Unhen bhi hai sar-o-sauda-e-KHam-e-azadi Banaenge nai duniya kisan aur mazdur Yahi sajaenge diwan-e-am-e-azadi Faza mein jalte dilon se dhuan sa uThta hai Are ye subh-e-ghulami ye sham-e-azadi Ye mahr-o-mah ye tare ye baam haft-aflak Bahut buland hai in se maqam-e-azadi Faza-e-sham-e-sahar mein shafaq jhalakti hai Ki jam mein hai mai-e-lala-fam-e-azadi Syah-KHana-e-duniya ki zulmaten hain do-rang Nihan hai subh-e-asiri mein sham-e-azadi Sukun ka nam na le hai wo qaid-e-be-miad Hai pai-ba-pai harakat mein qayam-e-azadi Ye karwan hain pasmandgan-e-manzil ke Ki rahrawon mein yahi hain imam-e-azadi Dilon mein ahl-e-zamin ke hai niw us ki magar Qusur-e-KHuld se uncha hai baam-e-azadi Wahan bhi KHak-nashinon ne jhanDe gaD diye Mila na ahl-e-duwal ko maqam-e-azadi Hamare zor se zanjir-e-tirgi TuTi Hamara soz hai mah-e-tamam-e-azadi Tarannum-e-sahari de raha hai jo chhup kar Harif-e-subh-e-watan hai ye sham-e-azadi Hamare sine mein shoale bhaDak rahe hain 'firaq' Hamari sans se raushan hai nam-e-azadi