ab aksar chup chup se rahen hain yuunhii kabhuu lab kholen hain
— Firaq Gorakhpuri
Ab aksar chup chup se rahen hain yoonhee kabhoo lab kholen hain
Pahle 'firaaq' ko dekhaa hota ab to bahut kam bolen hain
Din men ham ko dekhne vaalo apne apne hain auqaat
Jaao na tum in khushk aankhon par ham raaton ko ro len hain
Fitrat meree 'ishq-o-mohabbat qismat meree tanhaa.ee
Kahne kee naubat hee na aa.ee ham bhee kisoo ke ho len hain
Khunuk siyah mahke hue saa.e phail jaa.en hain jal-thal par
Kin jatanon se meree ghazlen raat kaa juuDaa kholen hain
Baagh men wo khvaab-aavar 'aalam mauj-e-sabaa ke ishaaron par
Daalee Daalee nauras patte sahaj sahaj jab Dolen hain
Uf wo labon par mauj-e-tabassum jaise karvaTen len kaunde
Haa.e wo aalam-e-jumbish-e-mizhgaan jab fitne par tolen hain
Naqsh-o-nigaar-e-ghazal men jo tum ye shaadaabee paao ho
Ham ashkon men kaa.enaat ke nok-e-qalam ko Dubo len hain
In raaton ko hareem-e-naaz kaa ik 'aalam hue hai nadeem
Khalvat men wo narm ungliyaan band-e-qabaa jab kholen hain
Gham kaa fasaana sunne vaalo aakhir-e-shab aaraam karo
Kal ye kahaanee phir chheDenge ham bhee zaraa ab so len hain
Ham log ab to ajnabee se hain Kuch to bataao haal-e-'firaaq'
Ab to tumheen ko pyaar karen hain ab to tumheen se bolen hain