bastiyaan dhuundh rahii hain unhen viiraanon men
— Firaq Gorakhpuri
Bastiyaan DhoonDh rahee hain unhen veeraanon men
Vahshaten baDh ga.iin had se tire deevaanon men
Nigah-e-naaz na deevaanon na farzaanon men
Jaankaar ek vahee hai magar an-jaanon men
Bazm-e-mai be-khud-o-be-taab na kyuun ho saaqee
Mauj-e-baada hai ki dard uThtaa hai paimaanon men
Main to main chaunk uThee hai ye fazaa-e-khaamosh
Ye sadaa kab kee sunee aatee hai phir kaanon men
Sair kar ujDe dilon kee jo tabee.at hai udaas
Jee bahal jaate hain aksar inheen veeraanon men
Vus.aten bhee hain nihaan tangi-e-dil men ghaafil
Jee bahal jaate hain aksar inheen maidaanon men
Jaan eemaan-e-junoon silsila jumbaan-e-junoon
Kuch kashish-haa-e-nihaan jazb hain veeraanon men
Khanda-e-sub.h-e-azal teergee-e-shaam-e-abad
Donon aalam hain chhalakte hue paimaanon men
Dekh jab aalam-e-hoo ko to nayaa aalam hai
Bastiyaan bhee nazar aane lageen veeraanon men
Jis jagah baith ga.e aag lagaa kar uTThe
Garmiyaan hain Kuch abhee sokhta-saamaanon men
Vahshaten bhee nazar aatee hain sar-e-parda-e-naaz
Daamanon men hai ye aalam na garebaanon men
Ek rangeenee-e-zaahir hai gulistaan men agar
Ek shaadaabee-e-pinhaan hai bayaabaanon men
Jauhar-e-ghuncha-o-gul men hai ik andaaz-e-junoon
Kuch bayaabaan nazar aa.e hain garebaanon men
Ab wo rang-e-chaman-o-khanda-e-gul bhee na rahe
Ab wo aasaar-e-junoon bhee naheen deevaanon men
Ab wo saaqee kee bhee aankhen na raheen rindon men
Ab wo saaghar bhee chhalakte naheen mai-khaanon men
Ab wo ik soz-e-nihaanee bhee dilon men na raha
Ab wo jalve bhee naheen ishq ke kaashaanon men
Ab na wo raat jab ummeeden bhee Kuch thiin tujh se
Ab na wo baat gham-e-hijr ke afsaanon men
Ab tiraa kaam hai bas ahl-e-wafa kaa paanaa
Ab tiraa naam hai bas ishq ke gham-khaanon men
Taa-ba-kai waada-e-mauhoom kee tafseel 'firaaq'
Shab-e-furqat kaheen kaTtee hai in afsaanon men