chhalak ke kam na ho aisii koi sharaab nahin
— Firaq Gorakhpuri
Chhalak ke kam na ho aisee koee sharaab naheen
Nigaah-e-nargis-e-ra.anaa tiraa javaab naheen
Zameen jaag rahee hai ki inqalaab hai kal
Wo raat hai koee zarra bhee mahv-e-khvaab naheen
Hayaat-e-dard huee jaa rahee hai kya hogaa
Ab is nazar kee duaa.en bhee mustajaab naheen
Zameen us kee falak us kaa kaa.enaat us kee
Kuch aisa ishq tiraa khaanumaan-kharaab naheen
Abhee Kuch aur ho insaan kaa lahoo paanee
Abhee hayaat ke chehre par aab-o-taab naheen
Jahaan ke baab men tar daamanon kaa qaul ye hai
Ye mauj maartaa Dariya koee saraab naheen
Dikhaa to detee hai behtar hayaat ke sapne
Kharaab ho ke bhee ye zindagee kharaab naheen