dete hain jaam e shahaadat mujhe maaluum na thaa
— Firaq Gorakhpuri
Dete hain jaam-e-shahaadat mujhe maa'loom na thaa
Hai ye aa.een-e-mohabbat mujhe maa'loom na thaa
Matlab-e-chashm-e-muravvat mujhe maa'loom na thaa
Tujh ko mujh se thee shikaayat mujhe maa'loom na thaa
Chashm-e-khaamosh kee baabat mujhe maa'loom na thaa
Ye bhee hai harf-o-hikaayat mujhe maa'loom na thaa
'ishq bas men hai mashiyyat ke aqeeda thaa miraa
Us ke bas men hai mashiyyat mujhe maa'loom na thaa
Haft-khvaan jis ne kiye tai sar-e-raah-e-tasleem
Toot jaatee hai wo himmat mujhe maa'loom na thaa
Aaj har qatra-e-mai ban gaya ik chingaaree
Thee ye saaqee kee sharaarat mujhe maa'loom na thaa
Nigah-e-mast ne talvaar uThaa lee sar-e-bazm
Yuun badal jaatee hai niyyat mujhe maa'loom na thaa
Gham-e-hastee se jo bezaar raha main ik 'umr
Tujh se bhee thee use nisbat mujhe maa'loom na thaa
'ishq bhee ahl-e-tareeqat men hai aisa thaa khayaal
'ishq hai peer-e-tareeqat mujhe maa'loom na thaa
Poochh mat sharh-e-karam-haa-e-azeezaan hamdam
Un men itnee thee sharaafat mujhe maa'loom na thaa
Jab se dekhaa hai tujhe mujh se hai meree an-ban
Husn kaa rang-e-siyaasat mujhe maa'loom na thaa
Shakl insaan kee ho chaal bhee insaan kee ho
Yuun bhee aatee hai qayaamat mujhe maa'loom na thaa
Sar-e-maamoora-e-aalam ye dil-e-khaana-kharaab
MiT gaya teree badaulat mujhe maa'loom na thaa
Parda-e-arz-e-wafa men bhee raha hoon kartaa
Tujh se main apnee hee gheebat mujhe maa'loom na thaa
Naqd-e-jaan kya hai zamaane men mohabbat hamdam
Naheen miltee kisee qeemat mujhe maa'loom na thaa
Ho gaya aaj rafeeqon se gale mil ke judaa
Apna khud ishq-e-sadaaqat mujhe maa'loom na thaa
Dard dil kya hai khulaa aaj tire laDne par
Tujh se itnee thee mohabbat mujhe maa'loom na thaa
Dam nikal jaa.e magar dil na lagaa.e koee
'ishq kee ye thee vasiyyat mujhe maa'loom na thaa
Husn vaalon ko bahut sahl samajh rakkhaa thaa
Tujh pe aa.egee tabee'at mujhe maa'loom na thaa
Kitnee khallaaq hai ye neestee-e-ishq 'firaaq'
Us se hastee hai 'ibaarat mujhe maa'loom na thaa