diidaar men ik tarfa diidaar nazar aayaa

Firaq Gorakhpuri

Deedaar men ik turfa deedaar nazar aayaa Har baar chhupaa koee har baar nazar aayaa Chhaalon ko bayaabaan bhee gulzaar nazar aayaa Jab chheD par aamaada har khaar nazar aayaa Sub.h-e-shab-e-hijraan kee wo chaak-garebaanee Ik aalam-e-nairangee har taar nazar aayaa Ho sabr ki betaabee ummeed ki maayoosee Nairang-e-mohabbat bhee be-kaar nazar aayaa Jab chashm-e-siyah teree thee chhaa.ee huee dil par Is mulk kaa har khitta taataar nazar aayaa Too ne bhee to dekhee thee wo jaatee huee Dunya Kya aakhree lamhon men beemaar nazar aayaa Ghash khaa ke gire muusaa allaah-ree maayoosee Halkaa saa wo parda bhee deevaar nazar aayaa Zarra ho ki qatra ho khum-khaana-e-hastee men Makhmoor nazar aayaa sarshaar nazar aayaa Kya Kuch na huaa gham se kya Kuch na kiyaa gham ne Aur yuun to huaa jo Kuch be-kaar nazar aayaa Ai ishq qasam tujh ko ma.amoora-e-aalam kee Koee gham-e-furqat men gham-khvaar nazar aayaa Shab kaT ga.ee furqat kee dekhaa na 'firaaq' aakhir Tool-e-gham-e-hijraan bhee be-kaar nazar aayaa