hai Abhi mahtaab baaqii aur baaqii hai sharaab

Firaq Gorakhpuri

Hai abhee mahtaab baaqee aur baaqee hai sharaab Aur baaqee mere tere darmiyaan sad.haa hisaab Dil men yuun bedaar hote hain khayaalaat-e-ghazal Aankhen malte jis tarah uTThe koi mast-e-shabaab Gesoo-e-khamdaar men ash.aar-e-tar kee ThanDaken Aatish-e-rukhsaar men qalb-e-tapaan kaa iltihaab Ek aalam par nahin rahtee hain kaifiyyaat-e-ishq Gaah registaan bhee Dariya gaah Dariya bhee saraab Kaun rakh saktaa hai is ko saakin-o-jaamid ki ziist Inqilaab-o-inqilaab-o-inqilaab-o-inqilaab DhoonDiye kyon isti.aara aur tashbeeh-o-misaal Husn to wo hai bataa.en jis ko husn-e-laa-javaab Ai 'firaaq' uThtee hain hairat kee nigaahen baa-adab Us ke dil kee khalvaton men ho raha hoon baaryaab