jahaan e guncha e dil kaa faqat chataknaa tha
— Firaq Gorakhpuri
Jahaan-e-ghuncha-e-dil kaa faqat chaTaknaa tha
Usee kee boo-e-pareshaan vajood-e-dunya tha
Ye kah ke kal koi be-ikhtiyaar rotaa tha
Wo ik nigaah sahee kyuun kisee ko dekhaa tha
Tanaaben koocha-e-qaatil kee khinchtee jaatee thiin
Shaheed-e-tegh-e-adaa men bhee zor kitnaa tha
Bas ik jhalak nazar aa.ee uDe kaleem ke hosh
Bas ik nigaah huee khaak toor-e-seenaa tha
Har ik ke haath faqat ghaflaten thiin hosh-numaa
Ki apne aap se begaana-vaar jiinaa tha
Yahee huaa ki fareb-e-umeed-o-yaas miTe
Wo paa ga.e tire haathon hamen jo paanaa tha
Chaman men ghuncha-e-gul khilkhilaa ke murjhaa.e
Yahee wo the jinhen hans hans ke jaan denaa tha
Nigaah-e-mehr men jis kee hain sad payaam-e-fanaa
Usee kaa aalam-e-eejaad-o-naaz bejaa tha
Jahaan too jalva-numaa tha laraztee thee dunya
Tire jamaal se kaisaa jalaal paidaa tha
Hayaat-o-marg ke kuch raaz khul ga.e honge
Fasaana-e-shab-e-gham varna dosto kya tha
Shab-e-adam kaa fasaana gudaaz sham-e-hayaat
Sivaa.e kaif-e-fanaa meraa maajraa kya tha
Kuch aisi baat na thee teraa duur ho jaanaa
Ye aur baat ki rah rah ke dard uThtaa tha
Na poochh sood-o-ziyaan kaarobaar-e-ulfat ke
Vagarna yuun to na paanaa tha kuch na khotaa tha
LagaavTen wo tire husn-e-be-niyaaz kee aah
Main teree bazm se jab naa-umeed uTThaa tha
Tujhe ham ai dil-e-dard-aashnaa kahaan DhoonDen
Ham apne hosh men kab the koi jab uTThaa tha
Adam kaa raaz sadaa-e-shikast saaz-e-hayaat
Hijaab-e-zeest bhee kitnaa lateef pardaa tha
Ye iztiraab-o-sukoon bhee thee ik fareb-e-hayaat
Ki apne haal se begaana-vaar jiinaa tha
Kahaan pe chuuk huee tere be-qaraaron se
Zamaana doosree karvaT badalne vaalaa tha
Ye koi yaad hai ye bhee hai koi mahviyyat
Tire khayaal men tujh ko bhee bhuul jaanaa tha
Kahaan kee choT ubhar aa.ee husn-e-taabaan men
Dam-e-nazaara wo rukh dard saa chamaktaa tha
Na poochh ramz-o-kinaayaat chashm-e-saaqee ke
Bas ek hashr-e-khamosh anjuman men barpaa tha
Chaman chaman thee gul-e-daagh-e-ishq se hastee
Usee kee nik.hat-e-barbaad kaa zamaana tha
Wo tha miraa dil-e-khoon-gashta jis ke miTne se
Bahaar-e-baagha-e-jinaan thee vajood-e-dunya tha
Qasam hai baada-kasho chashm-e-mast-e-saaqee kee
Bataao haath se kya jaam-e-mai sanbhaltaa tha
Visaal us se main chaahoon kahaan ye dil meraa
Ye ro raha hoon ki kyuun us ko main ne dekhaa tha
Umiid yaas banee yaas phir umiid banee
Us ik nazar men fareb-e-nigaah kitnaa tha
Ye soz-o-saaz-e-nihaan tha wo soz-o-saaz-e-ayaan
Visaal-o-hijr men bas farq tha to itnaa tha
Shikast-e-saaz-e-chaman thee bahaar-e-laala-o-gul
Khizaan machaltee thee ghuncha jahaan chaTaktaa tha
Har ek saans hai tajdeed-e-yaad-e-ayyaamee
Guzar gaya wo zamaana jise guzarnaa tha
Na koi va.ada na koi yaqeen na koi umiid
Magar hamen to tiraa intizaar karnaa tha
Kisee ke sabr ne be-sabr kar diyaa sab ko
'firaaq' naza.a men karvaT koi badaltaa tha