jin ki zindagii daaman tak hai bechaare farzaane men
— Firaq Gorakhpuri
Jin kee zindagee daaman tak hai bechaare farzaane hain
Khaak uDaate phirte hain jo deevaane deevaane hain
Vahdat-e-insaan apne ko shaa.ir se manvaa letee hai
Kya anjaane kya begaane sab jaane-pahchaane hain
Mujh ko shaa.ir kahne vaalo main kya meree ghazlen kya
Main ne to bas sarkaar-e-ishq men Kuch parche guzraane hain
Bhole-bhaale mahboobon se daanv-pech Kuch chal na sakaa
Ham ye samajhte rahe abhee tak ham bhee kitne siyaane hain
Hosh-o-khirad kya josh-e-junoon kya ulTee gangaa bahtee hai
Kya farzaane kaise siyaane yaaro sab deevaane hain
Jal-bujhne kee bhee taufeeq kahaan ushshaaq kee qismat men
Ik an-dekhee sham-e-bazm ke dil vaale parvaane hain
Shaa.ir se hamdardee seekho Dunya ke gham-khaane men
Jitne gham hain Dunya bhar men is ke maane-jaane hain
Shahr-e-nigaaraan shahr-e-nigaaraan kaun bataa.e kaisaa hai
Poochhte ho kya ham se yaaro ham bhee to begaane hain
Bas wo unhee se fitrat ko khaalon ke libaas pahnaataa hai
Shaa.ir ke palle kya hai geeton ke taane-baane hain
Kitne begaane hote hain ye jaane-pahchaane log
Jaane hue bhee ba-qaul hamaare anjaane begaane hain
Aaj se pahle kab the vatan men be-vatanee ke ye lachchhan
Logon ko ye kahte sunaa hai ghar bhee ghurbat-khaane hain
Kuch nahin khultaa kis kee zad men ye hastee-e-gurezaan hai
Ham jo itne bache phirte hain kin teeron ke nishaane hain
Is gum-karda-e-deeda-o-dil ko kal tak kitne jaante the
Ab to 'firaaq'-e-be-khud ke aalam aalam afsaane hain