junoon e kaargar hai aur main hoon
— Firaq Gorakhpuri
Junoon-e-kaargar hai aur main hoon
Hayaat-e-be-khabar hai aur main hoon
MiTaa kar dil nigaah-e-avvaleen se
Taqaazaa-e-digar hai aur main hoon
Kahaan main aa gaya ai zor-e-parvaaz
Vabaal-e-baal-o-par hai aur main hoon
Nigaah-e-avvaleen se ho ke barbaad
Taqaazaa-e-digar hai aur main hoon
Mubaarakbaad ayyaam-e-aseeree
Gham-e-deevaar-o-dar hai aur main hoon
Tiree jam.iyyaten hain aur too hai
Hayaat-e-muntashar hai aur main hoon
Koee ho sust-paimaan bhee to yuun ho
Ye shaam-e-be-sahar hai aur main hoon
Nigaah-e-be-mahaabaa tere sadqe
Ka.ee TukDe jigar hai aur main hoon
Thikaanaa hai Kuch is uzr-e-sitam kaa
Tiree neechee nazar hai aur main hoon
'firaaq' ik ek hasrat miT rahee hai
Ye maatam raat bhar hai aur main hoon