kuch ishaare the jinhen dunya samajh baithe the ham

Firaq Gorakhpuri

Kuch ishaare the jinhen dunya samajh baiThe the ham Us nigaah-e-aashnaa ko kya samajh baiThe the ham Rafta rafta ghair apnee hee nazar men ho ga.e Vaah-ree ghaflat tujhe apna samajh baiThe the ham Hosh kee taufeeq bhee kab ahl-e-dil ko ho sakee Ishq men apne ko deevaana samajh baiThe the ham Parda-e-aazurdagee men thee wo jaan-e-iltifaat Jis adaa ko ranjish-e-bejaa samajh baiThe the ham Kya kahen ulfat men raaz-e-be-hisee kyoonkar khulaa Har nazar ko teree dard-afzaa samajh baiThe the ham Be-niyaazee ko tiree paayaa saraasar soz o dard Tujh ko ik dunya se begaana samajh baiThe the ham Inqalaab-e-pai-ba-pai har gardish o har daur men Is zameen o aasmaan ko kya samajh baiThe the ham Bhuul baiThee wo nigaah-e-naaz ahd-e-dostee Us ko bhee apnee tabee.at kaa samajh baiThe the ham Saaf alag ham ko junoon-e-aashiqee ne kar diyaa Khud ko tere dard kaa pardaa samajh baiThe the ham Kaan bajte hain mohabbat ke sukoot-e-naaz ko Daastaan kaa khatm ho jaanaa samajh baiThe the ham Baaton baaton men payaam-e-marg bhee aa hee gaya Un nigaahon ko hayaat-afzaa samajh baiThe the ham Ab nahin taab-e-sipaas-e-husn is dil ko jise Be-qraar-e-shikva-e-bejaa samajh baiThe the ham Ek dunya dard kee tasveer niklee ishq ko Koh-kan aur qais kaa qissa samajh baiThe the ham Rafta rafta ishq maanoos-e-jahaan hota chalaa Khud ko tere hijr men tanhaa samajh baiThe the ham Husn ko ik husn hee samjhe nahin aur ai 'firaaq' Mehrbaan naa-mehrbaan kya kya samajh baiThe the ham