mujh ko maaraa hai har ik dard o davaa se pahle
— Firaq Gorakhpuri
Mujh ko maaraa hai har ik dard o davaa se pahle
Dee sazaa ishq ne har jurm-o-khataa se pahle
Aatish-e-ishq bhaDaktee hai havaa se pahle
HonT julte hain mohabbat men duaa se pahle
Fitne barpaa hue har ghuncha-e-sar-basta se
Khul gaya raaz-e-chaman chaak-e-qabaa se pahle
Chaal hai baada-e-hastee kaa chhalaktaa huaa jaam
Ham kahaan the tire naqsh-e-kaf-e-paa se pahle
Ab kamee kya hai tire be-sar-o-saamaanon ko
Kuch na thaa teree qasam tark-e-wafa se pahle
Ishq-e-bebaak ko da.ave the bahut khalvat men
Kho diyaa saaraa bharam sharm-o-hayaa se pahle
Khud-bakhud chaak hue pairahan-e-laala-o-gul
Chal ga.ee kaun havaa baad-e-sabaa se pahle
Ham-safar raah-e-adam men na ho taaron-bharee raat
Ham pahunch jaa.enge is aabla-paa se pahle
Parda-e-sharm men sad-barq-e-tabassum ke nisaar
Hosh jaate rahe nairang-e-hayaa se pahle
Maut ke naam se Darte the ham ai shauq-e-hayaat
Too ne to maar hee Daalaa thaa qazaa se pahle
Be-takalluf bhee tiraa husn-e-khud-aaraa thaa kabhee
Ik adaa aur bhee thee husn-e-adaa se pahle
Ghaflaten hastee-e-faanee kee bataa dengee tujhe
Jo miraa haal thaa ehsaas-e-fanaa se pahle
Ham unhen paa ke 'firaaq' aur bhee Kuch kho.e ga.e
Ye takalluf to na the ahd-e-wafa se pahle