raat bhi niind bhi kahaanii bhi
— Firaq Gorakhpuri
Raat bhee niind bhee kahaanee bhee
Haa.e kya chiiz hai javaanee bhee
Ek paighaam-e-zindagaanee bhee
Aashiqee marg-e-naa-gahaanee bhee
Is adaa kaa tiree javaab nahin
Mehrbaanee bhee sargiraanee bhee
Dil ko apne bhee gham the Dunya men
Kuch balaa.en thiin aasmaanee bhee
Mansab-e-dil khushee luTaanaa hai
Gham-e-pinhaan kee paasbaanee bhee
Dil ko sho.alon se kartee hai sairaab
Zindagee aag bhee hai paanee bhee
Shaad-kaamon ko ye nahin taufeeq
Dil-e-gham-gheen kee shaadmaanee bhee
Laakh husn-e-yaqeen se baDh kar hai
Un nigaahon kee bad-gumaanee bhee
Tangnaa-e-dil-e-malool men hai
Bahr-e-hastee kee be-karaanee bhee
Ishq-e-naakaam kee hai parchhaa.een
Shaadmaanee bhee kaamraanee bhee
Dekh dil ke nigaar-khaane men
Zakhm-e-pinhaan kee hai nishaanee bhee
Khalq kya kya mujhe nahin kahtee
Kuch sunoon main tiree zabaanee bhee
Aa.e taareekh-e-ishq men sau baar
Maut ke daur-e-darmiyaanee bhee
Apnee ma.asoomiyat ke parde men
Ho ga.ee wo nazar siyaanee bhee
Din ko sooraj-mukhee hai wo nau-gul
Raat ko hai wo raat-raanee bhee
Dil-e-bad-naam tere baare men
Log kahte hain ik kahaanee bhee
Vaz.a karte koi na.ee Dunya
Ki ye Dunya huee puraanee bhee
Dil ko aadaab-e-bandagee bhee na aa.e
Kar ga.e log hukmaraanee bhee
Jaur-e-kam-kam kaa shukriya bas hai
Aap kee itnee mehrbaanee bhee
Dil men ik huuk bhee uThee ai dost
Yaad aa.ee tiree javaanee bhee
Sar se paa tak supurdagee kee adaa
Ek andaaz-e-turkamaanee bhee
Paas rahnaa kisee kaa raat kee raat
Mehmaanee bhee mezbaanee bhee
Ho na aks-e-jabeen-e-naaz ki hai
Dil men ik noor-e-kahkashaanee bhee
Zindagee ain deed-e-yaar 'firaaq'
Zindagee hijr kee kahaanee bhee