samajhtaa hoon ki tuu mujh se judaa hai
— Firaq Gorakhpuri
Samajhtaa hoon ki too mujh se judaa hai
Shab-e-furqat mujhe kya ho gaya hai
Tiraa gham kya hai bas ye jaantaa hoon
Ki meree zindagee mujh se khafaa hai
Kabhi khush kar ga.ee mujh ko tiree yaad
Kabhi aankhon men aansoo aa gaya hai
Hijaabon ko samajh baiThaa main jalva
Nigaahon ko baDaa dhokaa huaa hai
Bahut duur ab hai dil se yaad teree
Mohabbat kaa zamaana aa raha hai
Na jee khush kar sakaa teraa karam bhee
Mohabbat ko baDaa dhokaa raha hai
Kabhi taDpaa gaya hai dil tiraa gham
Kabhi dil ko sahaaraa de gaya hai
Shikaayat teree dil se karte karte
Achaanak pyaar tujh par aa gaya hai
Jise chaunkaa ke too ne pher lee aankh
Wo teraa dard ab tak jaagtaa hai
Jahaan hai maujzan rangeenee-e-husn
Vaheen dil kaa kanval lahraa raha hai
Gulaabee hotee jaatee hain fazaa.en
Koi is rang se sharmaa raha hai
Mohabbat tujh se thee qabl-az-mohabbat
Kuch aisa yaad mujh ko aa raha hai
Judaa aaghaaz se anjaam se duur
Mohabbat ik musalsal maajraa hai
Khuda-haafiz magar ab zindagee men
Faqat apna sahaaraa rah gaya hai
Mohabbat men 'firaaq' itnaa na gham kar
Zamaane men yahee hota raha hai