shaam e gam Kuch us nigaah e naaz ki baaten karo
— Firaq Gorakhpuri
Shaam-e-gham Kuch us nigaah-e-naaz kee baaten karo
Be-khudee baDhtee chalee hai raaz kee baaten karo
Ye sukoot-e-naaz ye dil kee ragon kaa TooTnaa
Khaamushee men Kuch shikast-e-saaz kee baaten karo
Nik.hat-e-zulf-e-pareshaan daastaan-e-shaam-e-gham
Sub.h hone tak isee andaaz kee baaten karo
Har rag-e-dil vajd men aatee rahe dukhtee rahe
Yoonhee us ke jaa-o-bejaa naaz kee baaten karo
Jau adam kee jaan hai jo hai payaam-e-zindagee
Us sukoot-e-raaz us awaaz kee baaten karo
Ishq rusvaa ho chalaa be-kaif saa bezaar saa
Aaj us kee nargas-e-ghammaz kee baaten karo
Naam bhee lenaa hai jis kaa ik jahaan-e-rang-o-boo
Dosto us nau-bahaar-e-naaz kee baaten karo
Kis liye uzr-e-taghaaful kis liye ilzaam-e-ishq
Aaj charkh-e-tafraqa-parvaaz kee baaten karo
Kuch qafas kee teeliyon se chhan raha hai nuur saa
Kuch fazaa Kuch hasrat-e-parvaaz kee baaten karo
Jo hayaat-e-jaavidaan hai jo hai marg-e-naa-gahaan
Aaj Kuch us naaz us andaaz kee baaten karo
Ishq-e-be-parvaa bhee ab Kuch naa-shakebaa ho chalaa
Shokhee-e-husn-e-karishma-saaz kee baaten karo
Jis kee furqat ne palaT dee ishq kee kaayaa 'firaaq'
Aaj us eesaa-nafas dam-saaz kee baaten karo