tez ehsaas e khudii darkaar hai

Firaq Gorakhpuri

Tez ehsaas-e-khudee darkaar hai Zindagee ko zindagee darkaar hai Jo chaDhaa jaa.e khumistaan-e-jahaan Haan vahee lab-tishnagee darkaar hai Devtaaon kaa khuda se hogaa kaam Aadmee ko aadmee darkaar hai Sau gulistaan jis udaasee par nisaar Mujh ko wo afsurdagee darkaar hai Shaa.eree hai sar-basar tahzeeb-e-qalb Us ko gham shaa.istagee darkaar hai Sho.ala men laataa hai jo soz-o-gudaaz Wo khuloos-e-baatnee darkaar hai Khoobee-e-lafz-o-bayaan se Kuch sivaa Shaa.eree ko saahiree darkaar hai Qaadir-e-mutlaq ko bhee insaan kee Sunte hain be-chaargee darkaar hai Aur honge taalib-e-mad.h-e-jahaan Mujh ko bas teree khushee darkaar hai Aql men yuun to naheen koee kamee Ik zaraa deevaangee darkaar hai Hosh vaalon ko bhee meree raa.e men Ek guuna be-khudee darkaar hai Khatraa-e-bisyaar-daanee kee qasam Ilm men bhee Kuch kamee darkaar hai Dosto kaafee naheen chashm-e-khirad Ishq ko bhee raushnee darkaar hai Meree ghazlon men haqaa.eq hain faqat Aap ko to shaa.eree darkaar hai Tere paas aayaa hoon kahne ek baat Mujh ko teree dostee darkaar hai Main jafaaon kaa na kartaa yuun gila Aaj teree naa-khushee darkaar hai Us kee zulf aaraasta-pairaasta Ik zaraa see barhamee darkaar hai Zinda-dil thaa taaza-dam thaa hijr men Aaj mujh ko be-dilee darkaar hai Halqa halqa gesoo-e-shab rang-e-yaar Mujh ko teree abtaree darkaar hai Aql ne kal mere kaanon men kahaa Mujh ko teree zindagee darkaar hai Tez-rau tahzeeb-e-aalam ko 'firaaq' Ik zaraa aahistagee darkaar hai