tumhen kyuunkar bataaen zindagii ko kya samajhte hain

Firaq Gorakhpuri

Tumhen kyoonkar bataa.en zindagee ko kya samajhte hain Samajh lo saans lenaa khud-kushee karnaa samajhte hain Kisee badmast ko raaz-aashnaa sab kaa samajhte hain Nigaah-e-yaar tujh ko kya bataa.en kya samajhte hain Bas itne par hamen sab log deevaana samajhte hain Ki is Dunya ko ham ik doosree Dunya samajhte hain Kahaan kaa vasl tanhaa.ee ne shaayad bhes badlaa hai Tire dam bhar ke mil jaane ko ham bhee kya samajhte hain Umeedon men bhee un kee ek shaan-e-be-niyaazee hai Har aasaanee ko jo dushvaar ho jaanaa samajhte hain Yahee zid hai to khair aankhen uThaate hain ham us jaanib Magar ai dil ham is men jaan kaa khaTkaa samajhte hain Kaheen hon tere deevaane Thahar jaa.en to zindaan hai Jidhar ko munh uThaa kar chal paDe sahraa samajhte hain Jahaan kee fitrat-e-begaana men jo kaif-e-gham bhar den Vahee jiinaa samajhte hain vahee marnaa samajhte hain Hamaaraa zikr kya ham ko to hosh aayaa mohabbat men Magar ham qais kaa deevaana ho jaanaa samajhte hain Na shokhee shokh hai itnee na purkaar itnee purkaaree Na jaane log teree saadgee ko kya samajhte hain Bhulaa diin ek muddat kee jafaa.en us ne ye kah kar Tujhe apna samajhte the tujhe apna samajhte hain Ye kah kar aabla-paa raundte jaate hain kaanTon ko Jise talvon men kar len jazb use sahraa samajhte hain Ye hastee neestee sab mauj-khezee hai mohabbat kee Na ham qatra samajhte hain na ham Dariya samajhte hain 'firaaq' is gardish-e-ayyaam se kab kaam niklaa hai Sahar hone ko bhee ham raat kaT jaanaa samajhte hain