wo chup chaap aansuu bahaane ki raaten

Firaq Gorakhpuri

Wo chup-chaap aansoo bahaane kee raaten Wo ik shakhs ke yaad aane kee raaten Shab-e-mah kee wo ThanDee aanchen wo shabnam Tire husn ke rasmasaane kee raaten Javaanee kee dosheezgee kaa tabassum Gul-e-zaar ke wo khilaane kee raaten Phuvaaren see naghmon kee paDtee hon jaise Kuch us lab ke sunne-sunaane kee raaten Mujhe yaad hai teree har sub.h-e-rukhsat Mujhe yaad hain tere aane kee raaten Pur-asraar see meree arz-e-tamannaa Wo Kuch zer-e-lab muskuraane kee raaten Sar-e-shaam se ratjagaa ke wo saamaan Wo pichhle pahar niind aane kee raaten Sar-e-shaam se taa-sahar qurb-e-jaanaan Na jaane wo thiin kis zamaane kee raaten Sar-e-mai-kada tishnagee kee wo qasmen Wo saaqee se baaten banaane kee raaten Ham-aaghoshiyaan shaahid-e-mehrbaan kee Zamaane ke gham bhuul jaane kee raaten 'firaaq' apnee qismat men shaayad naheen the Thikaane ke din yaa Thikaane kee raaten