zameen badlii falak badlaa mazaaq e zindagii badlaa

Firaq Gorakhpuri

Zameen badlee falak badlaa mazaaq-e-zindagee badlaa Tamaddun ke qadeem aqdaar badle aadmee badlaa Khuda-o-ahrman badle wo eemaan-e-duee badlaa Hudood-e-khair-o-shar badle mazaaq-e-kaafiree badlaa Na.e insaan kaa jab daur-e-khud-naa-aagahee badlaa Rumooz-e-be-khudee badle taqaazaa-e-khudee badlaa Badalte jaa rahe hain ham bhee Dunya ko badalne men Nahin badlee abhee Dunya to Dunya ko abhee badlaa Na.ee manzil ke meer-e-kaarvaan bhee aur hote hain Puraane khizr-e-rah badle wo tarz-e-rahbaree badlaa Kabhi sochaa bhee hai ai nazm-e-kohna ke khuda-vando Tumhaaraa hashr kya hogaa jo ye aalam kabhi badlaa Udhar pichhle se ahl-e-maal-o-zar par raat bhaaree hai Idhar bedaaree-e-jamhoor kaa andaaz bhee badlaa Zahe soz-e-gham-e-aadam khushaa saaz-e-dil-e-aadam Isee ik sham.a kee lau ne jahaan-e-teergee badlaa Na.e mansoor hain sadiyon puraane shekh-o-qaazee hain Na fatve kufr ke badle na uzr-e-daar hee badlaa Bataa.e to bataa.e us ko teree shokhee-e-pinhaan Tiree chashm-e-tavajjoh hai ki tarz-e-be-rukhee badlaa Ba-faiz-e-aadam-e-khaakee zameen sonaa ugaltee hai Usee zarre ne daur-e-mehr-o-maah-o-mushtaree badlaa Sitaare jaagte hain raat laT chhaTkaa.e sotee hai Dabe paanv kisee ne aa ke khvaab-e-zindagee badlaa 'firaaq'-e-ham-navaa-e-'meer'-o-'ghaalib' ab na.e naghme Wo bazm-e-zindagee badlee wo rang-e-shaa.iree badlaa