zer o bam se saaz e khilqat ke jahaan bantaa gaya
— Firaq Gorakhpuri
Zer-o-bam se saaz-e-khilqat ke jahaan bantaa gaya
Ye zameen bantee ga.ee ye aasmaan bantaa gaya
Daastaan-e-jaur-e-behad khuun se likhtaa raha
Qatra qatra ashk-e-gham kaa be-karaan bantaa gaya
Ishq-e-tanhaa se huiin aabaad kitnee manzilen
Ik musaafir kaarvaan-dar-kaarvaan bantaa gaya
Main tire jis gham ko apna jaantaa thaa wo bhee to
Zeb-e-unvaan-e-hadees-e-deegaraan bantaa gaya
Baat nikle baat se jaise wo thaa teraa bayaan
Naam teraa daastaan-dar-daastaan bantaa gaya
Ham ko hai ma.aloom sab roodaad-e-ilm-o-falsafa
Haan har eemaan-o-yaqeen vahm-o-gumaan bantaa gaya
Main kitaab-e-dil men apna haal-e-gham likhtaa raha
Har varaq ik baab-e-taareekh-e-jahaan bantaa gaya
Bas usee kee tarjumaanee hai mire ash.aar men
Jo sukoot-e-raaz rangeen daastaan bantaa gaya
Main ne saunpaa thaa tujhe ik kaam saaree umr men
Wo bigaDtaa hee gaya ai dil kahaan bantaa gaya
Vaardaat-e-dil ko dil hee men jagah dete rahe
Har hisaab-e-gham hisaab-e-dostaan bantaa gaya
Meree ghuTTee men paDee thee ho ke hal urdu zabaan
Jo bhee main kahtaa gaya husn-e-bayaan bantaa gaya
Vaqt ke haathon yahaan kya kya khazaane luT ga.e
Ek teraa gham ki ganj-e-shaa.eegaan bantaa gaya
Sar-zameen-e-hind par aqvaam-e-aalam ke 'firaaq'
Qaafile baste ga.e hindostaan bantaa gaya