zindagii dard ki kahaanii hai
— Firaq Gorakhpuri
Zindagee dard kee kahaanee hai
Chashm-e-anjum men bhee to paanee hai
Be-niyaazaana sun liyaa gham-e-dil
Mehrbaanee hai mehrbaanee hai
Wo bhalaa meree baat kya maane
Us ne apnee bhee baat maanee hai
Shola-e-dil hai ye ki sho.ala-saaz
Yaa tiraa shola-e-javaanee hai
Wo kabhi rang wo kabhi khushboo
Gaah gul gaah raat-raanee hai
Ban ke ma.asoom sab ko taaD ga.ee
Aankh us kee baDee siyaanee hai
Aap-beetee kaho ki jag-beetee
Har kahaanee miree kahaanee hai
Donon aalam hain jis ke zer-e-nageen
Dil usee gham kee raajdhaanee hai
Ham to khush hain tiree jafaa par bhee
Be-sabab teree sargiraanee hai
Sar-ba-sar ye faraaz-e-mahr-o-qamar
Teree uThtee huee javaanee hai
Aaj bhee sun rahe hain qissa-e-ishq
Go kahaanee bahut puraanee hai
Zabt kiije to dil hai angaaraa
Aur agar roiye to paanee hai
Hai Thikaanaa ye dar hee us kaa bhee
Dil bhee teraa hee aastaanee hai
Un se aise men jo na ho jaa.e
Nau-javaanee hai nau-javaanee hai
Dil miraa aur ye gham-e-Dunya
Kya tire gham kee paasbaanee hai
Gardish-e-chashm-e-saaqee-e-dauraan
Daur-e-aflaak kee bhee paanee hai
Ai lab-e-naaz kya hain wo asraar
Khaamushee jin kee tarjumaanee hai
Mai-kadon ke bhee hosh uDne lage
Kya tiree aankh kee javaanee hai
Khud-kushee par hai aaj aamaada
Are Dunya baDee divaanee hai
Koi iz.haar-e-naa-khushee bhee nahin
Bad-gumaanee see bad-gumaanee hai
Mujh se kahtaa thaa kal farishta-e-ishq
Zindagee hijr kee kahaanee hai
Bahr-e-hastee bhee jis men kho jaa.e
Buund men bhee wo be-karaanee hai
Mil ga.e khaak men tire ushshaaq
Ye bhee ik amr-e-aasmaanee hai
Zindagee intizaar hai teraa
Ham ne ik baat aaj jaanee hai
Kyuun na ho gham se hee qimaash us kaa
Husn tasveer-e-shaadmaanee hai
Suunee Dunya men ab to main hoon aur
Maatam-e-ishq-e-aan-jahaanee hai
Kuch na poochho 'firaaq' ahd-e-shabaab
Raat hai niind hai kahaanee hai