dard halkaa hai saans bhaarii hai
— Gulzar
Dard halkaa hai saans bhaaree hai
Jiye jaane kee rasm jaaree hai
Aap ke ba.ad har ghaDee ham ne
Aap ke saath hee guzaaree hai
Raat ko chaandnee to oDhaa do
Din kee chaadar abhee utaaree hai
Shaakh par koi qahqaha to khile
Kaisee chup see chaman pe taaree hai
Kal kaa har vaaqi.a tumhaaraa tha
Aaj kee daastaan hamaaree hai