ek parvaaz dikhaaii dii hai
— Gulzar
Ek parvaaz dikhaa.ee dee hai
Teree awaaz sunaa.ee dee hai
Sirf ik safha palaT kar us ne
Saaree baaton kee safaa.ee dee hai
Phir vaheen lauT ke jaanaa hogaa
Yaar ne kaisee rihaa.ee dee hai
Jis kee aankhon men kaTee thiin sadiyaan
Us ne sadiyon kee judaa.ee dee hai
Zindagee par bhee koi zor nahin
Dil ne har chiiz paraa.ee dee hai
Aag men kya kya jalaa hai shab bhar
Kitnee khush-rang dikhaa.ee dee hai