gulon ko sunnaa zaraa tum sadaaen bhejii hain
— Gulzar
Gulon ko sunnaa zaraa tum sadaa.en bhejee hain
Gulon ke haath bahut see duaa.en bhejee hain
Jo aaftaab kabhi bhee ghuroob hota nahin
Hamaaraa dil hai usee kee shuaa.en bhejee hain
Agar jalaa.e tumhen bhee shifaa mile shaayad
Ik aise dard kee tum ko shuaa.en bhejee hain
Tumhaaree khushk see aankhen bhalee nahin lagteen
Wo saaree cheezen jo tum ko rulaa.en, bhejee hain
Siyaah rang chamaktee huee kanaaree hai
Pahan lo achchhee lagengee ghaTaa.en bhejee hain
Tumhaare khvaab se har shab lipaT ke sote hain
Sazaa.en bhej do ham ne khataa.en bhejee hain
Akelaa pattaa havaa men bahut buland uDaa
Zameen se paanv uThaao havaa.en bhejee hain