jab bhii ye dil udaas hota hai

Gulzar

Jab bhee ye dil udaas hota hai Jaane kaun aas-paas hota hai Aankhen pahchaantee hain aankhon ko Dard chehra-shanaas hota hai Go barastee nahin sadaa aankhen Abr to baarah-maas hota hai Chhaal peDon kee sakht hai lekin Neeche naakhun ke maas hota hai Zakhm kahte hain dil kaa gahna hai Dard dil kaa libaas hota hai Das hee letaa hai sab ko ishq kabhi Saanp mauqa.a-shanaas hota hai Sirf itnaa karam kiyaa kiije Aap ko jitnaa raas hota hai