sabr har baar ikhtiyaar kiyaa
— Gulzar
Sabr har baar ikhtiyaar kiyaa
Ham se hota nahin hazaar kiyaa
Aadatan tum ne kar diye va.ade
Aadatan ham ne aitbaar kiyaa
Ham ne aksar tumhaaree raahon men
Ruk kar apna hee intizaar kiyaa
Phir na maangenge zindagee yaa-rab
Ye gunah ham ne ek baar kiyaa