shaam se aaj saans bhaarii hai

Gulzar

Shaam se aaj saans bhaaree hai Be-qaraaree see be-qaraaree hai Aap ke baa'd har ghaDee ham ne Aap ke saath hee guzaaree hai Raat ko de do chaandnee kee ridaa Din kee chaadar abhee utaaree hai Shaakh par koi qahqaha to khile Kaisee chup see chaman men taaree hai Kal kaa har vaaqi.a tumhaaraa thaa Aaj kee daastaan hamaaree hai