shaam se aankh men namii sii hai
— Gulzar
Shaam se aankh men namee see hai
Aaj phir aap kee kamee see hai
Dafn kar do hamen ki saans aa.e
Nabz Kuch der se thamee see hai
Kaun pathraa gaya hai aankhon men
Barf palkon pe kyuun jamee see hai
Vaqt rahtaa nahin kaheen Tik kar
Aadat is kee bhee aadmee see hai
Aa.iye raaste alag kar len
Ye zaroorat bhee baahamee see hai