tinkaa tinkaa kaante tode saarii raat kataaii ki

Gulzar

Tinkaa tinkaa kaanTe toDe saaree raat kaTaa.ee kee Kyuun itnee lambee hotee hai chaandnee raat judaa.ee kee Niind men koi apne-aap se baaten kartaa rahtaa hai Kaal-kun.en men goonjtee hai awaaz kisee saudaai kee Siine men dil kee aahaT jaise koi jaasoos chale Har saa.e kaa peechhaa karnaa aadat hai harjaa.ee kee Aankhon aur kaanon men Kuch sannaaTe se bhar jaate hain Kya tum ne uDtee dekhee hai ret kabhi tanhaa.ee kee Taaron kee raushan faslen aur chaand kee ek daraantee thee Saahoo ne girvee rakh lee thee meree raat kaTaa.ee kee