wo khat ke purze udaa raha thaa
— Gulzar
Wo khat ke purze uDaa raha thaa
Havaaon kaa rukh dikhaa raha thaa
Bataa.oon kaise wo bahtaa Dariya
Jab aa raha thaa to jaa raha thaa
Kuch aur bhee ho gaya numaayaan
Main apna likkhaa miTaa raha thaa
Dhuaan dhuaan ho ga.ee thiin aankhen
Charaagh ko jab bujhaa raha thaa
MunDer se jhuk ke chaand kal bhee
PaDosiyon ko jagaa raha thaa
Usee kaa eemaan badal gaya hai
Kabhi jo meraa khuda raha thaa
Wo ek din ek ajnabee ko
Miree kahaanee sunaa raha thaa
Wo umr kam kar raha thaa meree
Main saal apne baDhaa raha thaa
Khuda kee shaayad razaa ho is men
Tumhaaraa jo faisla raha thaa