zikr hota hai jahaan bhi mire afsaane kaa

Gulzar

Zikr hota hai jahaan bhee mire afsaane kaa Ek darvaaza saa khultaa hai kutub-khaane kaa Ek sannaaTaa dabe-paanv gaya ho jaise Dil se ik khauf saa guzraa hai bichhaD jaane kaa Bulbula phir se chalaa paanee men ghote khaane Na samajhne kaa use waqt na samjhaane kaa Main ne alfaaz to beejon kee tarah chhaanT diye Aisa meeThaa tiraa andaaz tha farmaane kaa Kis ko roke koi raste men kahaan baat kare Na to aane kee khabar hai na pataa jaane kaa