14 august kahaan tuutii hain zanjiiren hamaarii
— Habib Jalib
Kahaan TuuTee hain zanjeeren hamaaree
Kahaan badlee hain taqreeren hamaaree
Vatan tha zehn men zindaan nahin tha
Chaman khawabon kaa yuun veeraan nahin tha
Bahaaron ne diye wo daagh ham ko
Nazar aataa hai maqtal baagh ham ko
Gharon ko chhoD kar jab ham chale the
Hamaare dil men kya kya valvale the
Ye sochaa tha hamaaraa raaj hogaa
Sar-e-mehnat-kashaan par taaj hogaa
Na looTegaa koi mehnat kisee kee
Milegee sab ko daulat zindagee kee
Na chaatengee hamaaraa Khoon masheenen
Banengee rashk-e-jannat ye zameenen
Koee gauhar koi aadam na hogaa
Kisee ko rahzanon kaa gham na hogaa
LuTee har-gaam par ummeed apnee
Moharram ban ga.ee har iid apnee
Musallat hai saron par raat ab tak
Vahee hai soorat-e-haalaat ab tak
Kahan TuTi hain zanjiren hamari
Kahan badli hain taqriren hamari
Watan tha zehn mein zindan nahin tha
Chaman KHwabon ka yun viran nahin tha
Bahaaron ne diye wo dagh hum ko
Nazar aata hai maqtal bagh hum ko
Gharon ko chhoD kar jab hum chale the
Hamare dil mein kya kya walwale the
Ye socha tha hamara raj hoga
Sar-e-mehnat-kashan par taj hoga
Na luTega koi mehnat kisi ki
Milegi sab ko daulat zindagi ki
Na chatengi hamara KHun mashinen
Banengi rashk-e-jannat ye zaminen
Koi gauhar koi aadam na hoga
Kisi ko rahzanon ka gham na hoga
LuTi har-gam par ummid apni
Moharram ban gai har id apni
Musallat hai saron par raat ab tak
Wahi hai surat-e-haalat ab tak