aag hai phailii huii kaalii ghataaon ki jagah
— Habib Jalib
Aag hai phailee huee kaalee ghaTaaon kee jagah
Bad-duaa.en hain labon par ab duaaon kee jagah
Intikhaab-e-ahl-e-gulshan par bahut rotaa hai dil
Dekh kar zaagh-o-zaghan ko khushnavaaon kee jagah
Kuchh bhee hota par na hote paara-paara jism-o-jaan
Raahzan hote agar un rahnumaaon kee jagah
LuT ga.ee is daur men ahl-e-qalam kee aabroo
Bik rahe hain ab sahaafee be-savaaon kee jagah
Kuchh to aataa ham ko bhee jaan se guzarne kaa maza
Ghair hote kaash 'jaalib' aashnaaon kee jagah
Aag hai phaili hui kali ghaTaon ki jagah
Bad-duaen hain labon par ab duaon ki jagah
IntiKHab-e-ahl-e-gulshan par bahut rota hai dil
Dekh kar zagh-o-zaghan ko KHushnawaon ki jagah
Kuchh bhi hota par na hote para-para jism-o-jaan
Rahzan hote agar un rahnumaon ki jagah
LuT gai is daur mein ahl-e-qalam ki aabru
Bik rahe hain ab sahafi be-sawaon ki jagah
Kuchh to aata hum ko bhi jaan se guzarne ka maza
Ghair hote kash 'jalib' aashnaon ki jagah