afsos tumhen car ke shiishe kaa huaa hai

Habib Jalib

Afsos tumhen car ke sheeshe kaa huaa hai Parvaa nahin ik maan kaa jo dil Toot gaya hai Hotaa hai asar tum pe kahaan naala-e-gham kaa Barham jo huee bazm-e-tarab is kaa gilaa hai Fir.aun bhee namrood bhee guzre hain jahaan men Rahtaa hai yahaan kaun yahaan kaun raha hai Tum zulm kahaan tak tah-e-aflaak karoge Ye baat na bhoolo ki hamaaraa bhee khuda hai Aazaadi-e-insaan ke vaheen phuul khilenge Jis jaa pe zaheer aaj tiraa Khoon giraa hai Taa-chand rahegee ye shab-e-gham kee siyaahi Rasta koi suraj kaa kaheen rok sakaa hai Too aaj kaa shaa.ir hai to kar meree tarah baat Jaise mire honTon pe mire dil kee sadaa hai Afsos tumhein car ke shishe ka hua hai Parwa nahin ek man ka jo dil TuT gaya hai Hota hai asar tum pe kahan nala-e-gham ka Barham jo hui bazm-e-tarab is ka gila hai Firaun bhi namrud bhi guzre hain jahan mein Rahta hai yahan kaun yahan kaun raha hai Tum zulm kahan tak tah-e-aflak karoge Ye baat na bhulo ki hamara bhi KHuda hai Aazadi-e-insan ke wahin phul khilenge Jis ja pe zahir aaj tera KHun gira hai Ta-chand rahegi ye shab-e-gham ki siyahi Rasta koi suraj ka kahin rok saka hai Tu aaj ka shair hai to kar meri tarah baat Jaise mere honTon pe mere dil ki sada hai