ahd e sazaa
— Habib Jalib
Ye ek ahd-e-sazaa hai jazaa kee baat na kar
Duaa se haath uThaa rakh davaa kee baat na kar
Khudaa ke naam pe zaalim nahin ye zulm ravaa
Mujhe jo chaahe sazaa de khuda kee baat na kar
Hayaat ab to inheen mahbason men guzregee
Sitamgaron se koi iltijaa kee baat na kar
Unhee ke haath men patthar hain jin ko pyaar kiyaa
Ye dekh hashr hamaaraa wafa kee baat na kar
Abhee to paa.ee hai main ne rihaa.ee rahzan se
BhaTak na jaaon main phir rahnumaa kee baat na kar
Bujhaa diyaa hai havaa ne har ek dayaa kaa diyaa
Na DhoonD ahl-e-karam ko dayaa kee baat na kar
Nuzool-e-habs huaa hai falak se ai 'jaalib'
GhuTaa ghuTaa hee sahee dam ghaTaa kee baat na kar
Ye ek ahd-e-saza hai jaza ki baat na kar
Dua se hath uTha rakh dawa ki baat na kar
KHuda ke nam pe zalim nahin ye zulm rawa
Mujhe jo chahe saza de KHuda ki baat na kar
Hayat ab to inhin mahbason mein guzregi
Sitamgaron se koi iltija ki baat na kar
Unhi ke hath mein patthar hain jin ko pyar kiya
Ye dekh hashr hamara wafa ki baat na kar
Abhi to pai hai main ne rihai rahzan se
BhaTak na jaun main phir rahnuma ki baat na kar
Bujha diya hai hawa ne har ek daya ka diya
Na DhunD ahl-e-karam ko daya ki baat na kar
Nuzul-e-habs hua hai falak se ai 'jalib'
GhuTa ghuTa hi sahi dam ghaTa ki baat na kar