bahut raushan hai shaam e gam hamaarii
— Habib Jalib
Bahut raushan hai shaam-e-gham hamaaree
Kisee kee yaad hai hamdam hamaaree
Ghalat hai laa-ta.alluq hain chaman se
Tumhaare phuul aur shabnam hamaaree
Ye palkon par na.e aansoo nahin hain
Azal se aankh hai pur-nam hamaaree
Har ik lab par tabassum dekhne kee
Tamannaa kab huee hai kam hamaaree
Kahee hai ham ne khud se bhee bahut kam
Na poochho daastaan-e-gham hamaaree
Bahut raushan hai sham-e-gham hamari
Kisi ki yaad hai hamdam hamari
Ghalat hai la-talluq hain chaman se
Tumhaare phul aur shabnam hamari
Ye palkon par nae aansu nahin hain
Azal se aankh hai pur-nam hamari
Har ek lab par tabassum dekhne ki
Tamanna kab hui hai kam hamari
Kahi hai hum ne KHud se bhi bahut kam
Na puchho dastan-e-gham hamari