darakht suukh gae ruk gae nadii naale

Habib Jalib

Darakht suukh ga.e ruk ga.e nadee naale Ye kis nagar ko ravaana hue hain ghar vaale Kahaaniyaan jo sunaate the ahd-e-rafta kee Nishaan wo gardish-e-ayyaam ne miTaa Daale Main shahr shahr phiraa hoon isee tamannaa men Kisee ko apna kahoon koi mujh ko apna le Sadaa na de kisee mahtaab ko andheron men Lagaa na de ye zamaana zabaan par taale Koee kiran hai yahaan to koi kiran hai vahaan Dil o nigaah ne kis darja rog hain paale Hameen pe un kee nazar hai hameen pe un kaa karam Ye aur baat yahaan aur bhee hain dil vaale Kuchh aur tujh pe khulengee haqeeqaten 'jaalib' Jo ho sake to kisee kaa fareb bhee khaa le DaraKHt sukh gae ruk gae nadi nale Ye kis nagar ko rawana hue hain ghar wale Kahaniyan jo sunate the ahd-e-rafta ki Nishan wo gardish-e-ayyam ne miTa Dale Main shahr shahr phira hun isi tamanna mein Kisi ko apna kahun koi mujh ko apna le Sada na de kisi mahtab ko andheron mein Laga na de ye zamana zaban par tale Koi kiran hai yahan to koi kiran hai wahan Dil o nigah ne kis darja rog hain pale Hamin pe un ki nazar hai hamin pe un ka karam Ye aur baat yahan aur bhi hain dil wale Kuchh aur tujh pe khulengi haqiqaten 'jalib' Jo ho sake to kisi ka fareb bhi kha le