dastuur diip jis kaa mahallaat hi men jale
— Habib Jalib
Diip jis kaa mahallaat hee men jale
Chand logon kee khushiyon ko le kar chale
Vo jo saa.e men har maslahat ke pale
Aise dastoor ko sub.h-e-be-noor ko
Main nahin maantaa main nahin jaantaa
Main bhee khaa.if nahin takhta-e-daar se
Main bhee mansoor huun kah do aghyaar se
Kyuun Daraate ho zindaan kee deevaar se
Zulm kee baat ko jahl kee raat ko
Main nahin maantaa main nahin jaantaa
Phuul shaakhon pe khilne lage tum kaho
Jaam rindon ko milne lage tum kaho
Chaak seenon ke silne lage tum kaho
Is khule jhuuT ko zehn kee luuT ko
Main nahin maantaa main nahin jaantaa
Tum ne luuTaa hai sadiyon hamaaraa sukoon
Ab na ham par chalegaa tumhaaraa fusoon
Chaaraagar dardmandon ke bante ho kyuun
Tum nahin chaaraagar koi maane magar
Main nahin maantaa main nahin jaantaa
Dip jis ka mahallat hi mein jale
Chand logon ki KHushiyon ko le kar chale
Wo jo sae mein har maslahat ke pale
Aise dastur ko subh-e-be-nur ko
Main nahin manta main nahin jaanta
Main bhi KHaif nahin taKHta-e-dar se
Main bhi mansur hun kah do aghyar se
Kyun Daraate ho zindan ki diwar se
Zulm ki baat ko jahl ki raat ko
Main nahin manta main nahin jaanta
Phul shaKHon pe khilne lage tum kaho
Jam rindon ko milne lage tum kaho
Chaak sinon ke silne lage tum kaho
Is khule jhuT ko zehn ki luT ko
Main nahin manta main nahin jaanta
Tum ne luTa hai sadiyon hamara sukun
Ab na hum par chalega tumhaara fusun
Chaaragar dardmandon ke bante ho kyun
Tum nahin chaaragar koi mane magar
Main nahin manta main nahin jaanta