dil ki baat labon par laa kar ab tak ham dukh sahte hain
— Habib Jalib
Dil kee baat labon par laa kar ab tak ham dukh sahte hain
Ham ne sunaa tha is bastee men dil vaale bhee rahte hain
Biit gaya saavan kaa maheena mausam ne nazren badleen
Lekin in pyaasee aankhon se ab tak aansoo bahte hain
Ek hamen aavaara kahnaa koi baDaa ilzaam nahin
Duniyaa vaale dil vaalon ko aur bahut kuch kahte hain
Jin kee khaatir shahr bhee chhoDaa jin ke liye badnaam hue
Aaj vahee ham se begaane begaane se rahte hain
Vo jo abhee is raahguzar se chaak-garebaan guzraa tha
Us aavaara deevaane ko 'jaalib' 'jaalib' kahte hain
Dil ki baat labon par la kar ab tak hum dukh sahte hain
Hum ne suna tha is basti mein dil wale bhi rahte hain
Bit gaya sawan ka mahina mausam ne nazren badlin
Lekin in pyasi aankhon se ab tak aansu bahte hain
Ek hamein aawara kahna koi baDa ilzam nahin
Duniya wale dil walon ko aur bahut kuch kahte hain
Jin ki KHatir shahr bhi chhoDa jin ke liye badnam hue
Aaj wahi hum se begane begane se rahte hain
Wo jo abhi is rahguzar se chaak-gareban guzra tha
Us aawara diwane ko 'jalib' 'jalib' kahte hain